Saturday 1 September 2012

Qariib maut kha.Dii hai zaraa Thahar jaao


Qariib maut kha.Dii hai zaraa Thahar jaao

Qazaa se aa.Nkh la.Dii hai zaraa Thahar jaao 

thakii thakii sii fazaaye.N bujhe bujhe taare

ba.Dii udaas gha.Dii hai zaraa Thahar jaao 

nahii.n ummiid ki ham aaj kii sahar dekhe.n

ye raat ham pe ka.Dii hai zaraa Thahar jaao 

abhii na jaao ki taaro.n kaa dil dha.Dakataa hai

tamaam raat pa.Dii hai zaraa Thahar jaao 

phir is ke baad kabhii ham na tum ko roke.nge

labo.n pe saa.Ns a.Dii hai zaraa Thahar jaao 

dam-e-firaaq me.n jii bhar ke tum ko dekh to luu.N

ye faisale kii gha.Dii hai zaraa Thahar jaao

No comments:

Post a Comment